DEH SE DHYAAN TAK
Free sample
4 of 129 pagesTap a page to read the free sample
DEH SE DHYAN TAK - देह से ध्यान तक
(Yoga, Meditation aur Real Life ka ek santulit sangam)
Yoga keval sharirik abhyas tak seemit nahi hai. Ye swayam ko samajhne, sharir se judne aur jeevan ko santulan ke saath jeene ki ek prakriya hai.
Aaj ke samay me yoga aur poshan ko lekar anek bhrantiyan phaili hui hain, jiske karan ek sadharan vyakti ke liye sahi marg chunna kathin ho jata hai. Ye pustak usi bhram ko door kar, yoga ko saral, vyavharik aur vaigyanik drishtikon se samjhane ka ek prayas hai.
Author: Bhanu Singh | @nooboyogini
Yoga & Mental Health Practitioner (RYT 500, Yoga Alliance)
Is Pustak Me Aap Kya Payenge:
1. Yoga ki Sahi Samajh
Yoga ke 8 pramukh prakar - Karma, Bhakti, Jnana, Raja, Hatha, Mantra, Laya aur Kundalini Yoga ka saral bhasha me arth aur unki upyogita. Ye adhyay aapki prarambhik samajh ko ek sahi disha dega.
2. Aam Bhrantiyon ka Nivaran
Yoga aur poshan se judi kuch aam galatfahmiyon par tathya-parak charcha, jaise:
- Detox juice aur sharir ki shodhan prakriya
- Khali pet abhyas karne ke niyam
- Prakritik bhojan aur santulit matra ka mahatva
- Protein supplement aur aahar se jude prashna
3. Samasya Anusar Yoga
Har sharir alag hai. Is khand me aam sharirik samasyaon, vishesh roop se kamar ke purane dard ke liye 10 upyogi yogasanon ki suchi di gayi hai, jisme har aasan ka Hindi aur English naam, uska saral roop aur saavdhani ka ullekh hai.
4. Dhyan - Ek Vyavharik Abhyas
Dhyan ka arth vicharon ko rokna nahi, balki unke prati jagruk hona hai. Isme 8 saral takneekon ka varnan hai:
Saans par dhyan, Saans ginna, Body Scan, Vichar Avalokan, Dhvani dhyan, Mantra dhyan, Sajag chalna aur Prem-Karuna dhyan.
Saath hi dhyan ke dauran aane wali 6 samanya kathinaiyon - jaise mann ka bhatakna, baithne par bechaini, neend aana - ka samadhan aur 7 din ki ek saral dhyan yojana (pratidn 3-5 minute) bhi shamil hai.
5. Yoga ke Saath Santulit Poshan
Mehenge aahar ya kathin diet ke bina, apne roz ke ghar ke bhojan se hi santulit poshan kaise prapt karein, is par vyavharik margdarshan.
Ye Pustak Kin Ke Liye Hai:
- Jo yoga ka abhyas prarambh karna chahte hain
- Jo online jankari se bhramit mehsoos karte hain
- Jo sharirik jadata, kamar dard, neend ya tanaav se rahat chahte hain
- Jo yoga ko jeevan ka ek sthayi aur sahaj hissa banana chahte hain
Pustak ka Uddeshya- aapko koi kathin lakshya dena nahi, balki aapko apni vartaman kshamta, sharir ki seema aur aavashyakta ke anusar yoga ko apnane me sahayata karna hai.
Vivaran:
Bhasha: Hindi
Format: Digital PDF (eBook)
Prishth: Lagbhag 130+ prishth
Access: Turant download, sabhi devices par pathaniya
Antatah, yoga swayam ke saath ek behtar sambandh banane ki yatra hai.
Anya jankari ke liye instagram @noobyogini pr sampark karein!




